Kal dekh raha tha twitter par kaayion ko Tennis ke khel me Federer ki haar ka gam manaate hue, kuch aalochak khusi bhi mana rahe the. Wahi, Nadal-federer waali ladaai. Hua yun ki dono hi haar gaye. 🙂

Khair, mujhe isme ruchi nahi thi. Par “tennis” se hamesha sanyog se mujhe ek hi cheez yaad aajati hai. Nahi aap kuch galat andesha na lagayen, waise vichaar nahi vyakt karne wala main yahaan…

Tennis balls se to ham bas cricket me hi khelte the kisi zamaane me. Jee, Tennis ball Cricket keh lijie aap.

Gendbaazi kiya karte the. Technical terminology me , medium rafter keh sakte hain. Zaheer bhai ka milta julta action tha, ye ham socha karte the. Afsos, tha nahi.
Dheemi gend kaafi mashoor thi. Waise dheemi shayad hare k gend hi hua karti thi. Bohoton ko chakma dejaati thi parantu….aur out hone par, “ye kya hogaya? “ waale expression bhi dila jaaati thi.

 

Par raftaar kam hone ke kaaran aksar ek aad beech ke spell hi milte the. Ya kabhi ek aad over. Wo bhi doston ki meherbaani rahi to. Wicket na bhi loon to economical hi rehta tha.. Ab gend me tezi hi nai rehti thi, to maarna thoda mushkil tha. Line-length sahi tha.
Tailender banke ballebaazi bhi ki kaafi. Square cut kiya karta th, achaa maarta tha. Ye main nahi log kehte the.
Par hota yun tha ki maidan me peeche run banane ke avsar nahi Milte the. Chote ground hone ke kaaran, seema seemit rehti thi.
Fielding kaafi kharab thi., kaafi kharab. Ground fielding khaaskar ke. Kaafi run galaaye hain..
Ek aad baar crucial maukon pe run deke match bhi harwa diya tha team ko. Kaafi gaaliyan mili thi…

Par catch lapak leta tha, kabhi kabar. Ek baar kaafi saleekhe waala catch liya.. Jaisa Pollard ne Dhoni ka lia tha. Uchalte hue boundary par.
Kaafi Waah waahi batori us din. Sabne socha 6 aur Maine bana daala out!! Mahaul jam gaya tha..
Yaad Aate hain kaafi wo bachpan ke Cricket se jude din… Gali me.. Chat par.. Aangan me… Maidanon me… Bas cricket…
Kabhi plastic.. To kabhi cosco.. Kabhi rubber kabhi khanna (yahan ka hard cosco) to kabhi synthetic.. Sabhi gendon se khela hai.. Cricket. Khela hai. Achaa ya bura, abs ach me nai padta farq.
Fir jab jamshedpur choota… Dheere dheere Wo chootta Chala gaya. Bach gayi to mast waali yaaden…

Yun mauke to kayi mile.. Firse khelne ke… Par Wo Bachpan waala junoon nahi bacha.
Busy hogaye doosri cheezon me.

Kabhi in mohalle ke bachon ko khelte ladte Dekhta hoon., bas dekhke khush hojaata hoon.

To ye thi  #AajKiStory, jald hi doosri bhi

gali cricket

sunaunga… Achaa Naa lage to bataiega.. Shukriya !! 🙂